I picked these sher from on of my all time Favorite Shayar...
Have a look at his sense of writing...
sadaa detii hai Khushbuu chaand taare bol padate hai.n
nazar jaisii nazar ho to nazaare bol padate hain
tumhaari hii nigaahon ne kahaa hai ham se ye aksar
tumhaare jism par to rang saare bol padate hain
mahak jaate hain gul jaise sabaa ke chuum lene se
agar laharen muKhaatib hon kinaare bol padate hain
zabaan se baat karane mein jahaan rusvaa_ii hotii hai
vahaan Khaamosh aankhon ke ishaare bol padate hain
chhupaanaa chaahate hai.n un se dil ka haal ham lekin
hamaare aansuon main gam hamaare bol padate hain
terii paabandiyon se ruk nahin sakatiin ye fariyaaden
agar ham chup rahen to zakhm saare bol padate hain

Orginal sher of: Manzar Bhopali
very nice....................
ReplyDelete