It has the soul and also the pain of love. This Ghazal I heared in my school days when
I was in school and I love this one in the voice of Gumlam Ali Sahab.
Once you hear these you just can’t forget the pain a lover can have ..
This ghazal was written by Adeem Hashmi.
One of the finest Ghazal by one the few remaining masters of Ghazals….
faasale aise bhi honge ye kabhii sochaa na thaa
saamane baiTha thaa mere aur vo meraa na thaa
vo ki Khushbuu kii tarah phailaa thaa mere chaar suu
main use mahasuus kar sakataa thaa chhuu sakataa na thaa
raat bhar us kii hii aahaT kaan me.n aatii rahii
jhaaNk kar dekhaa galii mein ko_ii bhii aayaa na thaa
aks to maujuud the par aks tanahaa_ii ke the
aa_iinaa to thaa magar us mein teraa cheharaa na thaa
aaj us ne dard bhii apane alahadaa kar diye
aaj main royaa to mere saath vo royaa na thaa
ye sabhii viiraaniyaaN us ke judaa hone se thii.n
aaNkh dhundhalaaii huii thii shahar dhundhalaayaa na thaa
yaad karake aur bhii takaliif hotii thii "Adeem"
bhuul jaane ke sivaa ab koi bhii chaaraa na thaa
kitanaa kaam karenge
ab aaraam karenge
tere diye hue dukh
tere naam karenge
ahal-e-dard hii aaKhir
Khushiyaan aam karenge
kaun bachaa hai jise vo
zer-e-daam karenge
[zer-e-daam = trap/defeat]
naukarii chhod ke "Saifi"
hum bhi dil ka kaam kareng
This one I find a unique comparison between one of my favorite Ghazal. One version is from film and other one is of Ghazal. My personal choice is with Jagjit Singh. But I am sure Kishor da one is also different from what I am used to this Ghazal. It was pleasant surprise to here you favorite song in different mood. :)
This is filmi version of this urdu Ghazal sung by Kishor kumar and Lata ji.
Now let see same in the voice of some Ghazal singer...
sarakatii jaaye hai rukh se naqaab aahistaa-aahistaa
nikalataa aa rahaa hai aaftaab aahistaa-aahistaa
jawaan hone lage jab vo to ham se kar liyaa pardaa
hayaa yakalakht aayii aur shabaab aahistaa-aahistaa
shab-e-furkat kaa jaagaa huun farishton ab to sone do
kabhii fursat mein kar lenaa hisaab aahistaa-aahistaa
savaal-e-vasl par unako uduu kaa Khauf hai itanaa
vo honthon se dete hain javaab aahistaa aahistaa
hamaare aur tumhaare pyar mein bas fark hai itanaa
idhar to jaldii jaldii hai udhar aahistaa aahistaa
vo bedardii se sar kaaTe "ameer" aur mai.n kahun un se
huzuur aahistaa aahistaa, janaab aahistaa-aahistaa
bahut dinon kii baat hai
fizaa ko yaad bhii nahii
ye baat aaj kii nahii
bahut dino kii baat hai
shabaab par bahaar thii
fizaa bhii Khush-gavaar thii
na jaane kyuun machal padaa
main apane ghar se chal padaa
kisii ne mujh ko rok kar
badii adaa se Tok kar
kahaa thaa laut aaiiye i
merii qasam na jaaiiye
par mujhe Khabar na thii
maahaul par nazar na thii
na jaane kyuun machal padaa
mai.n apane ghar se chal padaa
main shahar se phir aa gayaa
Khayaal thaa ke paa gayaa
use jo mujhase duur thii
magar merii zaruur thii
aur ik hasiin shaam ko
main chal padaa salaam ko
galii kaa rang dekh kar
na_ii tarang dekh kar
mujhe badii Khushii huii
mai.n kuchh isii Khushii men thaa
kisii ne jhaa.Nk kar kahaa
paraaye ghar se jaaiiye
meri qasam na aaiiye
vahii hasiin shaam hai
bahaar jis kaa naam hai
chalaa hu ghar ko chodkar
na jaane jaauungaa kidhar
koi nahiin jo Tok kar
koi nahiin jo rok kar
kahe ke lauT aaiiye
merii qasam na jaaiiye
meri kasam naa jaaii