Pages

Friday, October 7, 2011

Kavio ki zindagi kharab hoti h.....By Deepak Kumar


After months of running behind Deepak Bhai, finally He has written something for my blog. The title you may say is Inspired from his life experience and i feel poem is also. Aur agar koi kavi hindi me likhta hai aur aap usse padhte hai to aksar baatie bahut aasaan lagti hai aur lgata hai ki ye to hum bhi likh sakte the but belive me its never easy to write a single word when you know it will be seen by others, even i cannot write so good poetry. I am big fan of Urdu shayari but i think after Deepak poem my taste for Hindi poem might become better and thanks for writing a sweet poem on my blog. So its over to Deepak poem.  

Kavio ki zindagi kharab hoti h
Bahar taliya,
Ghar me galiya,
or khali parat hoti hai.

Gala faad faad kar,
dard bya karta hai.
sab ek baar marte hai,
ye baar baar marta hai.

aakash se patal tak,
fir patal se aakash tak.
rukta nahi roko isse,
juba iski bemisal hoti he.

kavio ki zindgi badi khrab hoti he..

Ek roj kahne lagi,
maa meri mujhse hi.
chor de ye lay banana,
duniya dekh,
kuch kam kar.

dohora diya maine wo sher
Zindgi ka kya pta
"Let, Kar aram kar"

jabse pita hu ma ke chimte se,
ye ankhe na jagti he na soti he.

kavi ki zindgi bdi khrab hoti he...

khush ho iss bat par,
shadi meri hui nhi.
varna aadhe saayro ki to,
bibya maha kaal hoti he.

kavio ki zindgi badi kharab hoti he.

By: Deepak Kumar 

No comments:

Post a Comment

Click here to pen you Comment