This is one of the most famous Ghazal written by Nida Fazli. He was one the most know urdu Shayar of the mordern Era. His simple lines can make you think and also enjoy the Ghazal at same time.
dil mein na ho jurrat to muhabbat nahiin milatii
Khairaat mein itanii badii daulat nahin miltii
[jurrat=courage; Khairaat=charity]
kuchh log yuun hii shahar mein ham se bhii Khafaa hain
har ek se apanii bhii tabiiyat nahiin miltii
[Khafaa=annoyed/angry]
dekhaa thaa jise mai.n ne koi aur thaa shaayad
vo kaun hai jis se terii suurat nahin miltii
hansate huye cheharon se hai baazaar kii ziinat
rone ko yahaan vaise bhii fursat nahin miltii
[ziinat=beauty/adornment; fursat=leisure time]
Poet: Nida Fazli..

No comments:
Post a Comment
Click here to pen you Comment